tirgi chand ko inam-e-wafa deti hai
tīrgī chāñd ko ina.am-e-vafā detī hai
rāt-bhar Dūbte sūraj ko sadā detī hai
maiñ ne chāhā thā ki lafzoñ meñ chhupā luuñ ḳhud ko
ḳhāmushī lafz kī dīvār girā detī hai
koī saaya to milā dhuup ke zindānī ko
merī vahshat tirī chāhat ko duā detī hai
kitnī sadiyoñ ke darīche meñ hai bas ek vajūd
zindagī saañs ko talvār banā detī hai
qafas-e-rañg meñ din raat vahī pyaas kā dard
āgahī bhī mujhe jiine kī sazā detī hai
tirgi chand ko inam-e-wafa deti hai
raat-bhar Dubte suraj ko sada deti hai
main ne chaha tha ki lafzon mein chhupa lun KHud ko
KHamushi lafz ki diwar gira deti hai
koi saya to mila dhup ke zindani ko
meri wahshat teri chahat ko dua deti hai
kitni sadiyon ke dariche mein hai bas ek wajud
zindagi sans ko talwar bana deti hai
qafas-e-rang mein din raat wahi pyas ka dard
aagahi bhi mujhe jine ki saza deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.