tirgi mein subh ki tanwir ban jaenge hum
tīrgī meñ sub.h kī tanvīr ban jā.eñge ham
ḳhvāb tum dekhoge aur ta.abīr ban jā.eñge ham
ab ke ye sochā hai gar āzād tum ne kar diyā
ḳhud hī apne paañv kī zanjīr ban jā.eñge ham
āñsuoñ se likh rahe haiñ bebasī kī dāstāñ
lag rahā hai dard kī tasvīr ban jā.eñge ham
likh na paa.e jo kisī kī nīm-bāz ā.ankhoñ kā raaz
vo ye va.ada kar rahe haiñ 'mīr' ban jā.eñge ham
gar yuuñ hī baḌhtā rahā din raat shuġhl-e-mai-kashī
ek din is mai-kade ke piir ban jā.eñge ham
us ne bhī auroñ ke jaisā hī kiyā ham se sulūk
jo ye kahtā thā tirī taqdīr ban jā.eñge ham
tirgi mein subh ki tanwir ban jaenge hum
KHwab tum dekhoge aur tabir ban jaenge hum
ab ke ye socha hai gar aazad tum ne kar diya
KHud hi apne panw ki zanjir ban jaenge hum
aansuon se likh rahe hain bebasi ki dastan
lag raha hai dard ki taswir ban jaenge hum
likh na pae jo kisi ki nim-baz aaankhon ka raaz
wo ye wada kar rahe hain 'mir' ban jaenge hum
gar yun hi baDhta raha din raat shughl-e-mai-kashi
ek din is mai-kade ke pir ban jaenge hum
us ne bhi auron ke jaisa hi kiya hum se suluk
jo ye kahta tha teri taqdir ban jaenge hum
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 23)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.