tilism-e-harf-o-hikayat use bhi le Duba
tilism-e-harf-o-hikāyat use bhī le Duubā
zabāñ se us kī har ik baat ik fasāna lage
vo jis ko duur se dekhā thā ajnabī kī tarah
kuchh is adā se milā hai ki dostāna lage
idhar udhar se muqābil ko yuuñ na ghā.il kar
vo sañg pheñk ki be-sāḳhta nishāna lage
ye lamha lamha takalluf ke TūTte rishte
na itne paas mire aa ki tū purānā lage
vo ek shaḳhs jo leTā hai reg-e-sāhil par
use na mauja-e-tūfāñ kā tāziyāna lage
tilism-e-harf-o-hikayat use bhi le Duba
zaban se us ki har ek baat ek fasana lage
wo jis ko dur se dekha tha ajnabi ki tarah
kuchh is ada se mila hai ki dostana lage
idhar udhar se muqabil ko yun na ghail kar
wo sang phenk ki be-saKHta nishana lage
ye lamha lamha takalluf ke TuTte rishte
na itne pas mere aa ki tu purana lage
wo ek shaKHs jo leTa hai reg-e-sahil par
use na mauja-e-tufan ka taziyana lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.