tere badan ke nae zawiye banata hua
tire badan ke na.e zāviye banātā huā
guzar rahā hai koī dā.ere banātā huā
yahāñ sitāre ko kyā len-den karnā thā
jo TūT-phūT gayā rābte banātā huā
vafā-parast nahīñ thā to aur kyā thā vo
jo zaḳhm zaḳhm huā aa.ine banātā huā
maiñ dostoñ ke ik ik imtihāñ se guzrā huuñ
bikhar gayā huuñ ka.ī rāste banātā huā
'salīm' TuuT na jaa.e kahīñ bharam apnā
nikal paḌā huuñ na.e silsile banātā huā
tere badan ke nae zawiye banata hua
guzar raha hai koi daere banata hua
yahan sitare ko kya len-den karna tha
jo TuT-phuT gaya rabte banata hua
wafa-parast nahin tha to aur kya tha wo
jo zaKHm zaKHm hua aaine banata hua
main doston ke ek ek imtihan se guzra hun
bikhar gaya hun kai raste banata hua
'salim' TuT na jae kahin bharam apna
nikal paDa hun nae silsile banata hua
- Book : Pakistani Adab (Pg. 321)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.