tere ehsas mein Duba hua main
tire ehsās meñ Duubā huā maiñ
kabhī sahrā kabhī dariyā huā maiñ
tirī nazreñ Tikī thiiñ āsmāñ par
tire dāman se thā lipTā huā maiñ
khulī āñkhoñ se bhī soyā huuñ aksar
tumhārā rāsta taktā huā maiñ
ḳhudā jaane ke daldal meñ ġhamoñ ke
kahāñ tak jā.ūñgā dhañstā huā maiñ
bahut pur-ḳhār thī rāh-e-mohabbat
chalā aayā magar hañstā huā maiñ
ka.ī din baad us ne guftugū kī
ka.ī din ba.ad phir achchhā huā maiñ
tere ehsas mein Duba hua main
kabhi sahra kabhi dariya hua main
teri nazren Tiki thin aasman par
tere daman se tha lipTa hua main
khuli aankhon se bhi soya hun aksar
tumhaara rasta takta hua main
KHuda jaane ke daldal mein ghamon ke
kahan tak jaunga dhansta hua main
bahut pur-KHar thi rah-e-mohabbat
chala aaya magar hansta hua main
kai din baad us ne guftugu ki
kai din baad phir achchha hua main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.