tere firaq mein ghuTnon chali hai tanhai
tire firāq meñ ghuTnoñ chalī hai tanhā.ī
ḳhayāl o ḳhvāb meñ phūlī-phalī hai tanhā.ī
tire ḳhayāl tire hijr ke vasīle se
tasavvurāt meñ ham se milī hai tanhā.ī
jamāl-e-yār meñ khoyā huā hai sannāTā
ḳhayāl-e-yār meñ Duubī huī hai tanhā.ī
kisī ke shoḳh badan kī zarūratoñ kī tarah
tamām raat sulagtī rahī hai tanhā.ī
tumhārī zulf-e-mo.ambar kā aasrā le kar
hamārī fikr o nazar meñ palī hai tanhā.ī
shab-e-firāq ke maare nahīñ ho tum parvāz
tumhārī fikr pe kyuuñ jam ga.ī hai tanhā.ī
tere firaq mein ghuTnon chali hai tanhai
KHayal o KHwab mein phuli-phali hai tanhai
tere KHayal tere hijr ke wasile se
tasawwuraat mein hum se mili hai tanhai
jamal-e-yar mein khoya hua hai sannaTa
KHayal-e-yar mein Dubi hui hai tanhai
kisi ke shoKH badan ki zaruraton ki tarah
tamam raat sulagti rahi hai tanhai
tumhaari zulf-e-moambar ka aasra le kar
hamari fikr o nazar mein pali hai tanhai
shab-e-firaq ke mare nahin ho tum parwaz
tumhaari fikr pe kyun jam gai hai tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.