teri aankhon mein ek mubham fasana DhunDh hi lega
teri aankhon mein ek mubham fasana DhunDh hi lega
Ataur Rahman Jameel
MORE BYAtaur Rahman Jameel
tirī āñkhoñ meñ ik mub.ham fasāna DhūñDh hī legā
dil-e-barbād jiine kā bahāna DhūñDh hī legā
ye duniyā hai yahāñ har ābgīna TuuT jaatā hai
kahīñ chhupte phiro āḳhir zamāna DhūñDh hī legā
kisī kā naqsh-e-pā to mil hī jā.egā jo āñkheñ haiñ
agar sar hai to koī āstāna DhūñDh hī legā
kahīñ to 'umr bhar kī be-qarārī le hī jā.egī
koī dasht-e-junūñ terā divāna DhūñDh hī legā
'jamīl' ik ġham-farosh-e-vādī-e-ġhurbat sahī lekin
tumhāre shahr meñ koī Thikāna DhūñDh hī legā
teri aankhon mein ek mubham fasana DhunDh hi lega
dil-e-barbaad jine ka bahana DhunDh hi lega
ye duniya hai yahan har aabgina TuT jata hai
kahin chhupte phiro aaKHir zamana DhunDh hi lega
kisi ka naqsh-e-pa to mil hi jaega jo aankhen hain
agar sar hai to koi aastana DhunDh hi lega
kahin to 'umr bhar ki be-qarari le hi jaegi
koi dasht-e-junun tera diwana DhunDh hi lega
'jamil' ek gham-farosh-e-wadi-e-ghurbat sahi lekin
tumhaare shahr mein koi Thikana DhunDh hi lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.