teri aashnai se teri raza tak
tirī āshnā.ī se terī razā tak
mirī baat pahuñchī hai ab intihā tak
vo pahlī nazar jis se ghāyal huā thā
vo pahlī ḳhatā thī jo pahuñchī ḳhatā tak
tirī shoḳhiyoñ ne bhī jur.at baḌhā dī
yūñhī haath mere na pahuñche ridā tak
kahāñ tak ta.āqub meñ phirtā rahā maiñ
nishāñ tak zabāñ tak adā tak liqā tak
vo jaadū adā.eñ adāoñ meñ jaadū
ye pahuñchā.eñ ham ko fanā se baqā tak
abhī tak vo sāz-e-sitam baj rahā hai
jo pahuñchā thā bhūle se terī sadā tak
teri aashnai se teri raza tak
meri baat pahunchi hai ab intiha tak
wo pahli nazar jis se ghayal hua tha
wo pahli KHata thi jo pahunchi KHata tak
teri shoKHiyon ne bhi jurat baDha di
yunhi hath mere na pahunche rida tak
kahan tak taaqub mein phirta raha main
nishan tak zaban tak ada tak liqa tak
wo jadu adaen adaon mein jadu
ye pahunchaen hum ko fana se baqa tak
abhi tak wo saz-e-sitam baj raha hai
jo pahuncha tha bhule se teri sada tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.