teri chaal dhun teri sans sur mere dil ko aa ke sanbhaal bhi
teri chaal dhun teri sans sur mere dil ko aa ke sanbhaal bhi
Tanveer Monis
MORE BYTanveer Monis
tirī chaal dhun tirī saañs sur mire dil ko aa ke sañbhāl bhī
jo ye jal-tarañg zarā bajā to ye Daal degā dhamāl bhī
na uchhāl jhiil meñ kankarī ki ye ḳhaufnāk sā khel hai
isī khel meñ na utar paḌe tirī aañkh par ye vabāl bhī
ka.ī log morcha-band ḳhauf kī ret meñ haiñ karam karam
tire haath meñ ye jo sang hai kisī samt us ko uchhāl bhī
ai mukartī aañkh 'adāvateñ tū qayām bhī haiñ sabāt bhī
tire saath dushmanī ik taraf nahīñ dostī kī majāl bhī
tire tark-e-rāh ke faisle kā javāz maiñ nahīñ māñgtā
magar aane vaalā koī to vaqt uThā.egā ye savāl bhī
yad-e-baizā kī tū hai mālkin ai safed sang kī mūrtī
tirī aañkh dariyā-e-nīl hai mirī raat koī nikāl bhī
teri chaal dhun teri sans sur mere dil ko aa ke sanbhaal bhi
jo ye jal-tarang zara baja to ye Dal dega dhamal bhi
na uchhaal jhil mein kankari ki ye KHaufnak sa khel hai
isi khel mein na utar paDe teri aankh par ye wabaal bhi
kai log morcha-band KHauf ki ret mein hain karam karam
tere hath mein ye jo sang hai kisi samt us ko uchhaal bhi
ai mukarti aankh 'adawaten tu qayam bhi hain sabaat bhi
tere sath dushmani ek taraf nahin dosti ki majal bhi
tere tark-e-rah ke faisle ka jawaz main nahin mangta
magar aane wala koi to waqt uThaega ye sawal bhi
yad-e-baiza ki tu hai malkin ai safed sang ki murti
teri aankh dariya-e-nil hai meri raat koi nikal bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.