teri jab nind ka daftar khula tha
tirī jab niiñd kā daftar khulā thā
yaqīnan ek ik manzar khulā thā
use tum chāñd se tashbīh denā
ki us ke haath meñ ḳhanjar khulā thā
sunā dīvār-o-dar kyā kah rahe haiñ
hamārī piiTh par nashtar khulā thā
nahīñ ki tañg thiiñ apnī qabā.eñ
tumhāre jism kā paikar khulā thā
badalte mausamoñ kī taan TuuTī
ghaTāoñ par mirā sāġhar khulā thā
parī-paikar se jab bhī baat hotī
maze kī baat hai aksar khulā thā
kisī ke haath so.e the sirhāne
kisī ke haath meñ ḳhanjar khulā thā
uḌāneñ jab bhī thiiñ mahdūd 'khullar'
hamāre naam kā shah-par khulā thā
teri jab nind ka daftar khula tha
yaqinan ek ek manzar khula tha
use tum chand se tashbih dena
ki us ke hath mein KHanjar khula tha
suna diwar-o-dar kya kah rahe hain
hamari piTh par nashtar khula tha
nahin ki tang thin apni qabaen
tumhaare jism ka paikar khula tha
badalte mausamon ki tan TuTi
ghaTaon par mera saghar khula tha
pari-paikar se jab bhi baat hoti
maze ki baat hai aksar khula tha
kisi ke hath soe the sirhane
kisi ke hath mein KHanjar khula tha
uDanen jab bhi thin mahdud 'khullar'
hamare nam ka shah-par khula tha
- Book : Khwaab Palkon Mein (Pg. 52)
- Author : Vishal Khullar
- Publication : Insha Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.