teri surat mujhe batati hai
tirī sūrat mujhe batātī hai
yaad merī tujhe bhī aatī hai
us ke ik baar dekhne kī adā
dil meñ sau hasrateñ jagātī hai
mere dil meñ vo aa.e haiñ aise
jaise āñgan meñ dhuup aatī hai
ḳhvāb meñ jab bhī dekhtā huuñ use
niiñd āñkhoñ se ruuTh jaatī hai
apnī marzī se ham nahīñ chalte
koī tāqat hameñ chalātī hai
ham haiñ tahzīb ke alam-bardār
ham ko urdu zabān aatī hai
maiñ to sāhil huuñ mauj dariyā kī
mujh ko ḳhud hī gale lagātī hai
teri surat mujhe batati hai
yaad meri tujhe bhi aati hai
us ke ek bar dekhne ki ada
dil mein sau hasraten jagati hai
mere dil mein wo aae hain aise
jaise aangan mein dhup aati hai
KHwab mein jab bhi dekhta hun use
nind aankhon se ruTh jati hai
apni marzi se hum nahin chalte
koi taqat hamein chalati hai
hum hain tahzib ke alam-bardar
hum ko urdu zaban aati hai
main to sahil hun mauj dariya ki
mujh ko KHud hi gale lagati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.