teri taswir uThai hui hai
tirī tasvīr uThā.ī huī hai
raushnī ḳhvāb meñ aa.ī huī hai
maiñ ne is dasht ko chhānā huā hai
maiñ ne ye ḳhaak uḌaa.ī huī hai
dost haiñ saare zamāne vaale
maiñ ne dushman se banā.ī huī hai
tujh se ummīd vafāoñ kī mujhe
aag paanī meñ lagā.ī huī hai
raaz kī baat batā.ūñ maiñ tumheñ
baat ye maiñ ne uḌaa.ī huī hai
aaj sālis maiñ banā huuñ apnā
kal baḌī ḳhud se laḌā.ī huī hai
ishq meñ naam kamāyā huā hai
maiñ ne badnāmī kamā.ī huī hai
ye mirā apnā taḳhayyul hai 'zubair'
ye ġhazal sab ne uThā.ī huī hai
teri taswir uThai hui hai
raushni KHwab mein aai hui hai
main ne is dasht ko chhana hua hai
main ne ye KHak uDai hui hai
dost hain sare zamane wale
main ne dushman se banai hui hai
tujh se ummid wafaon ki mujhe
aag pani mein lagai hui hai
raaz ki baat bataun main tumhein
baat ye main ne uDai hui hai
aaj salis main bana hun apna
kal baDi KHud se laDai hui hai
ishq mein nam kamaya hua hai
main ne badnami kamai hui hai
ye mera apna taKHayyul hai 'zubair'
ye ghazal sab ne uThai hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.