Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

to pahle mera hi haal-e-tabah likh lije

Bekal Utsahi

to pahle mera hi haal-e-tabah likh lije

Bekal Utsahi

MORE BYBekal Utsahi

    to pahle merā hāl-e-tabāh likh liije

    phir apne aap ko aalam panāh likh liije

    kitāb-e-sahrā meñ zikr aa.e jab samundar

    mirī hayāt kisī nigāh likh liije

    diyoñ ke qatl pe sūraj har kiran chup hai

    is ehtiyāt ko jashn-e-siyāh likh liije

    laboñ pe amn ke naġhme diloñ meñ jang aag

    shikast-e-azm ba-nām-e-sipāh likh liije

    vo mere qatl mulzim hai log kahte haiñ

    vo chhuT sake to mujhe bhī gavāh likh liije

    maiñ apne ghar tabāhī sambhāl lūñgā magar

    zamāne bhar mujhe sarbarāh likh liije

    ḳhatā.eñ itnī haiñ 'bekal' mujhe nahīñ ma.alūm

    yahī sazā hai mirā har gunāh likh liije

    to pahle mera hi haal-e-tabah likh lije

    phir apne aap ko aalam panah likh lije

    kitab-e-sahra mein zikr aae jab samundar ka

    meri hayat kisi ki nigah likh lije

    diyon ke qatl pe suraj ki har kiran chup hai

    is ehtiyat ko jashn-e-siyah likh lije

    labon pe amn ke naghme dilon mein jang ki aag

    shikast-e-azm ba-nam-e-sipah likh lije

    wo mere qatl ka mulzim hai log kahte hain

    wo chhuT sake to mujhe bhi gawah likh lije

    main apne ghar ki tabahi sambhaal lunga magar

    zamane bhar ka mujhe sarbarah likh lije

    KHataen itni hain 'bekal' mujhe nahin malum

    yahi saza hai mera har gunah likh lije

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now