tujhko ab koi shikayat to nahin
tujh ko ab koī shikāyat to nahīñ
ye magar tark-e-mohabbat to nahīñ
merī āñkhoñ meñ utarne vaale
Duub jaanā tirī 'ādat to nahīñ
tujh se begāne kā ġham hai varna
mujh ko ḳhud apnī zarūrat to nahīñ
khul ke ro luuñ to zarā jī sañbhle
muskurānā hī masarrat to nahīñ
tujh se farhād kā tesha na uThā
is junūñ par mujhe hairat to nahīñ
phir se kah de ki tirī manzil-e-shauq
merā dil hai mirī sūrat to nahīñ
terī pahchān ke lākhoñ andāz
sar jhukānā hī 'ibādat to nahīñ
tujh ko ab koi shikayat to nahin
ye magar tark-e-mohabbat to nahin
meri aankhon mein utarne wale
Dub jaana teri 'adat to nahin
tujh se begane ka gham hai warna
mujh ko KHud apni zarurat to nahin
khul ke ro lun to zara ji sanbhle
muskurana hi masarrat to nahin
tujh se farhad ka tesha na uTha
is junun par mujhe hairat to nahin
phir se kah de ki teri manzil-e-shauq
mera dil hai meri surat to nahin
teri pahchan ke lakhon andaz
sar jhukana hi 'ibaadat to nahin
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 155)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.