Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi

Jauhar Zahiri

tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi

Jauhar Zahiri

MORE BYJauhar Zahiri

    tujh meñ kab husn-e-bahār-e-gul ra.anā.ī na thī

    kab tire jalvoñ ik duniyā tamāshā.ī na thī

    zindagī bhar aarzū ḳhuun hotā rahā

    lab pe lekin ek din bhī aah tak aa.ī na thī

    ishq hai ik ātish-e-dil-soz meñ jalne naam

    ham ko to roz-e-azal ye baat samjhā.ī na thī

    ham rahe haiñ manziloñ manziloñ meñ umr bhar

    jaise qismat meñ kisī pahlū shakebā.ī na thī

    ik chaman kyā do jahāñ āfatoñ se duur thā

    ġhuncha-e-nauras ke lab tak jab hañsī aa.ī na thī

    kyā kahūñ 'jauhar' jo mere jān-o-dil par ban ga.ī

    maut paiġhām thā ik shām-e-tanhā.ī na thī

    tujh mein kab husn-e-bahaar-e-gul ki ranai na thi

    kab tere jalwon ki ek duniya tamashai na thi

    zindagi bhar aarzu ka KHun hi hota raha

    lab pe lekin ek din bhi aah tak aai na thi

    ishq hai ek aatish-e-dil-soz mein jalne ka nam

    hum ko to roz-e-azal ye baat samjhai na thi

    hum rahe hain manzilon hi manzilon mein umr bhar

    jaise qismat mein kisi pahlu shakebai na thi

    ek chaman kya do jahan ki aafaton se dur tha

    ghuncha-e-nauras ke lab tak jab hansi aai na thi

    kya kahun 'jauhar' jo mere jaan-o-dil par ban gai

    maut ka paigham tha ek sham-e-tanhai na thi

    Source :
    • Book : Shora-e-London (Pg. 67)
    • Author : Jauhar Zahiri
    • Publication : Books From India (U.K) Ltd. 45, Museum Street, Londan W.C-1 (1985)
    • Edition : 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now