tujhe chhu kar bhi meri ruh mein shiddat nahin hai
tujhe chhū kar bhī mirī ruuh meñ shiddat nahīñ hai
dil-lagī sī hai ye dar-asl mohabbat nahīñ hai
apne andar hī ghuTā rahne lagā huuñ ab to
tere ġham meñ abhī rone kī nazākat nahīñ hai
mere jazboñ meñ mirī ruuh kī pākīzgī hai
jo bhī likhtā huuñ mujhe us kī malāmat nahīñ hai
dar-e-imkān kī dastak mujhe bhejī ga.ī hai
merī qismat meñ to maujūd kī daulat nahīñ hai
ek sarshār aziyyat meñ giraftār huuñ maiñ
magar afsos ki ye terī badaulat nahīñ hai
mere andar koī kohrām machā rahtā hai
ai zamāne tujhe sunñe kī zarūrat nahīñ hai
tujhe chhu kar bhi meri ruh mein shiddat nahin hai
dil-lagi si hai ye dar-asl mohabbat nahin hai
apne andar hi ghuTa rahne laga hun ab to
tere gham mein abhi rone ki nazakat nahin hai
mere jazbon mein meri ruh ki pakizgi hai
jo bhi likhta hun mujhe us ki malamat nahin hai
dar-e-imkan ki dastak mujhe bheji gai hai
meri qismat mein to maujud ki daulat nahin hai
ek sarshaar aziyyat mein giraftar hun main
magar afsos ki ye teri badaulat nahin hai
mere andar koi kohram macha rahta hai
ai zamane tujhe sunne ki zarurat nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.