tumne kaha tha chup rahna so chup ne bhi kya kaam kiya
tum ne kahā thā chup rahnā so chup ne bhī kyā kaam kiyā
chup rahne kī aadat ne kuchh aur hameñ badnām kiyā
farzānoñ kī tañg-dilī farzānoñ tak mahdūd rahī
dīvānoñ ne farzānoñ tak rasm-e-junūñ ko aam kiyā
kunj-e-chaman meñ aas lagā.e chup baiThe haiñ jis din se
ham ne sabā ke haath ravāna un ko ik paiġhām kiyā
ham ne batāo kis tapte sūraj kī dhuup se maanī haar
ham ne kis dīvār-e-chaman ke saa.e meñ ārām kiyā
'sahbā' kaun shikārī the tum vahshat-kesh ġhazāloñ ke
matvālī āñkhoñ ko tum ne āḳhir kaisā raam kiyā
tum ne kaha tha chup rahna so chup ne bhi kya kaam kiya
chup rahne ki aadat ne kuchh aur hamein badnam kiya
farzanon ki tang-dili farzanon tak mahdud rahi
diwanon ne farzanon tak rasm-e-junun ko aam kiya
kunj-e-chaman mein aas lagae chup baiThe hain jis din se
hum ne saba ke hath rawana un ko ek paigham kiya
hum ne batao kis tapte suraj ki dhup se mani haar
hum ne kis diwar-e-chaman ke sae mein aaram kiya
'sahba' kaun shikari the tum wahshat-kesh ghazalon ke
matwali aankhon ko tum ne aaKHir kaisa ram kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.