tum yun hi samajhna ki fana mere liye hai
tum yun hi samajhna ki fana mere liye hai
Maulana Mohammad Ali Jauhar
MORE BYMaulana Mohammad Ali Jauhar
tum yuuñ hī samajhnā ki fanā mere liye hai
par ġhaib se sāmān-e-baqā mere liye hai
paiġhām milā thā jo husain-ibn-e-alī ko
ḳhush huuñ vahī paiġhām-e-qazā mere liye hai
ye hūr-e-bahishtī kī taraf se hai bulāvā
labbaik ki maqtal kā silā mere liye hai
kyuuñ jaan na duuñ ġham meñ tire jab ki abhī se
mātam ye zamāne meñ bapā mere liye hai
maiñ kho ke tirī raah meñ sab daulat-e-duniyā
samjhā ki kuchh is se bhī sivā mere liye hai
tauhīd to ye hai ki ḳhudā hashr meñ kah de
ye banda do-ālam se ḳhafā mere liye hai
surḳhī meñ nahīñ dast-e-hinā-basta bhī kuchh kam
par shoḳhī-e-ḳhūn-e-shohdā mere liye hai
rāhil huuñ musalmān ba-sad-nāra-e-takbīr
ye qāfila ye bāñg-e-darā mere liye hai
in.aam kā uqbā ke to kyā pūchhnā lekin
duniyā meñ bhī īmāñ kā silā mere liye hai
kyuuñ aise nabī par na fidā huuñ ki jo farmā.e
achchhe to sabhī ke haiñ burā mere liye hai
ai shāfa-e-mahshar jo kare tū na shafā.at
phir kaun vahāñ tere sivā mere liye hai
allāh ke raste hī meñ maut aa.e masīhā
iksīr yahī ek davā mere liye hai
ai chāragaro chāragarī kī nahīñ hājat
ye dard hī dārū-e-shifā mere liye hai
kyā Dar hai jo ho saarī ḳhudā.ī bhī muḳhālif
kaafī hai agar ek ḳhudā mere liye hai
jo sohbat-e-aġhyār meñ is darja ho bebāk
us shoḳh kī sab sharm-o-hayā mere liye hai
hai zulm tirā aam bahut phir bhī sitamgar
maḳhsūs ye andāz-e-jafā mere liye hai
haiñ yuuñ to fidā abr-e-siyah par sabhī mai-kash
par aaj kī ghanghor ghaTā mere liye hai
tum yun hi samajhna ki fana mere liye hai
par ghaib se saman-e-baqa mere liye hai
paigham mila tha jo husain-ibn-e-ali ko
KHush hun wahi paigham-e-qaza mere liye hai
ye hur-e-bahishti ki taraf se hai bulawa
labbaik ki maqtal ka sila mere liye hai
kyun jaan na dun gham mein tere jab ki abhi se
matam ye zamane mein bapa mere liye hai
main kho ke teri rah mein sab daulat-e-duniya
samjha ki kuchh is se bhi siwa mere liye hai
tauhid to ye hai ki KHuda hashr mein kah de
ye banda do-alam se KHafa mere liye hai
surKHi mein nahin dast-e-hina-basta bhi kuchh kam
par shoKHi-e-KHun-e-shohda mere liye hai
rahil hun musalman ba-sad-nara-e-takbir
ye qafila ye bang-e-dara mere liye hai
inam ka uqba ke to kya puchhna lekin
duniya mein bhi iman ka sila mere liye hai
kyun aise nabi par na fida hun ki jo farmae
achchhe to sabhi ke hain bura mere liye hai
ai shafa-e-mahshar jo kare tu na shafaat
phir kaun wahan tere siwa mere liye hai
allah ke raste hi mein maut aae masiha
iksir yahi ek dawa mere liye hai
ai chaaragaro chaaragari ki nahin hajat
ye dard hi daru-e-shifa mere liye hai
kya Dar hai jo ho sari KHudai bhi muKHalif
kafi hai agar ek KHuda mere liye hai
jo sohbat-e-aghyar mein is darja ho bebak
us shoKH ki sab sharm-o-haya mere liye hai
hai zulm tera aam bahut phir bhi sitamgar
maKHsus ye andaz-e-jafa mere liye hai
hain yun to fida abr-e-siyah par sabhi mai-kash
par aaj ki ghanghor ghaTa mere liye hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.