tumhaare gham se tauba kar raha hun
tumhāre ġham se tauba kar rahā huuñ
ta.ajjub hai maiñ aisā kar rahā huuñ
hai apne haath meñ apnā girebāñ
na jaane kis se jhagḌā kar rahā huuñ
bahut se band taale khul rahe haiñ
tire sab ḳhat ikaTThā kar rahā huuñ
koī titlī nishāne par nahīñ hai
maiñ bas rañgoñ kā pīchhā kar rahā huuñ
maiñ rasman kah rahā huuñ ''phir mileñge''
ye mat samho ki va.adā kar rahā huuñ
mire ahbāb saare shahr meñ haiñ
maiñ apne gaañv meñ kyā kar rahā huuñ
mirī har ik ġhazal aslī hai sāhab
ka.ī barsoñ se dhanda kar rahā huuñ
tumhaare gham se tauba kar raha hun
tajjub hai main aisa kar raha hun
hai apne hath mein apna gireban
na jaane kis se jhagDa kar raha hun
bahut se band tale khul rahe hain
tere sab KHat ikaTTha kar raha hun
koi titli nishane par nahin hai
main bas rangon ka pichha kar raha hun
main rasman kah raha hun phir milenge
ye mat samho ki wada kar raha hun
mere ahbab sare shahr mein hain
main apne ganw mein kya kar raha hun
meri har ek ghazal asli hai sahab
kai barson se dhanda kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.