tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
tumhāre shahr kā mausam baḌā suhānā lage
maiñ ek shaam churā luuñ agar burā na lage
tumhāre bas meñ agar ho to bhuul jaao mujhe
tumheñ bhulāne meñ shāyad mujhe zamāna lage
jo Dūbnā hai to itne sukūn se Duubo
ki ās-pās kī lahroñ ko bhī patā na lage
vo phuul jo mire dāman se ho ga.e mansūb
ḳhudā kare unheñ bāzār kī havā na lage
na jaane kyā hai kisī kī udaas āñkhoñ meñ
vo muñh chhupā ke bhī jaa.e to bevafā na lage
tū is tarah se mire saath bevafā.ī kar
ki tere ba.ad mujhe koī bevafā na lage
tum aañkh muuñd ke pī jaao zindagī 'qaisar'
ki ek ghūñT meñ mumkin hai bad-maza na lage
tumhaare shahr ka mausam baDa suhana lage
main ek sham chura lun agar bura na lage
tumhaare bas mein agar ho to bhul jao mujhe
tumhein bhulane mein shayad mujhe zamana lage
jo Dubna hai to itne sukun se Dubo
ki aas-pas ki lahron ko bhi pata na lage
wo phul jo mere daman se ho gae mansub
KHuda kare unhen bazar ki hawa na lage
na jaane kya hai kisi ki udas aankhon mein
wo munh chhupa ke bhi jae to bewafa na lage
tu is tarah se mere sath bewafai kar
ki tere baad mujhe koi bewafa na lage
tum aankh mund ke pi jao zindagi 'qaisar'
ki ek ghunT mein mumkin hai bad-maza na lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.