tumhaari rah mein miTTi ke ghar nahin aate
tumhārī raah meñ miTTī ke ghar nahīñ aate
isī liye to tumheñ ham nazar nahīñ aate
mohabbatoñ ke dinoñ kī yahī ḳharābī hai
ye ruuTh jaa.eñ to phir lauT kar nahīñ aate
jinheñ salīqa hai tahzīb-e-ġham samajhne kā
unhīñ ke rone meñ aañsū nazar nahīñ aate
ḳhushī kī aañkh meñ aañsū kī bhī jagah rakhnā
bure zamāne kabhī pūchh kar nahīñ aate
bisāt-e-ishq pe baḌhnā kise nahīñ aatā
ye aur baat ki bachne ke ghar nahīñ aate
'vasīm' zehn banāte haiñ to vahī aḳhbār
jo le ke ek bhī achchhī ḳhabar nahīñ aate
tumhaari rah mein miTTi ke ghar nahin aate
isi liye to tumhein hum nazar nahin aate
mohabbaton ke dinon ki yahi KHarabi hai
ye ruTh jaen to phir lauT kar nahin aate
jinhen saliqa hai tahzib-e-gham samajhne ka
unhin ke rone mein aansu nazar nahin aate
KHushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna
bure zamane kabhi puchh kar nahin aate
bisat-e-ishq pe baDhna kise nahin aata
ye aur baat ki bachne ke ghar nahin aate
'wasim' zehn banate hain to wahi aKHbar
jo le ke ek bhi achchhi KHabar nahin aate
- Book : Mera Kiya (Pg. 41)
- Author : Waseem Barelvi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.