Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu nahin hoga magar ye silsila rah jaega

imtiyaz Khan

tu nahin hoga magar ye silsila rah jaega

imtiyaz Khan

nahīñ hogā magar ye silsilā rah jā.egā

tere hone tasavvur jā-ba-jā rah jā.egā

qurbatoñ raah se ho kar guzar jā.eñge ham

manziloñ par darmiyāñ bas fāsla rah jā.egā

kis ne sochā thā ki ye itnā hasīñ ik vāqi.a

ek din siine meñ ban kar hādsa rah jā.egā

rāh-e-dil ko rauñd kar aage nikal jā.eñge log

aañkh meñ uThtā ġhubār-e-qāfila rah jā.egā

maiñ kahīñ kho jā.ūñgā le kar nigāh-e-shuq-e-dīd

charāġh-e-husn le kar DhūñDhtā rah jā.egā

kyā yūñhī ḳhāmosh duniyā se guzar jā.eñge ham

kyā jo kahnā hai vo sab kuchh an-kahā rah jā.egā

jab kahīñ kuchh bhī nahīñ thā bas ḳhudā thā aur phir

jab kahīñ kuchh bhī na hogā bas ḳhudā rah jā.egā

tu nahin hoga magar ye silsila rah jaega

tere hone ka tasawwur ja-ba-ja rah jaega

qurbaton ki rah se ho kar guzar jaenge hum

manzilon par darmiyan bas fasla rah jaega

kis ne socha tha ki ye itna hasin ek waqia

ek din sine mein ban kar hadsa rah jaega

rah-e-dil ko raund kar aage nikal jaenge log

aankh mein uThta ghubar-e-qafila rah jaega

main kahin kho jaunga le kar nigah-e-shuq-e-did

tu charagh-e-husn le kar DhunDhta rah jaega

kya yunhi KHamosh duniya se guzar jaenge hum

kya jo kahna hai wo sab kuchh an-kaha rah jaega

jab kahin kuchh bhi nahin tha bas KHuda tha aur phir

jab kahin kuchh bhi na hoga bas KHuda rah jaega

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now