tu samajhta hai hawadis hain satane ke liye
Interesting Fact
Usually the second couplet is attributed to Allama Iqbal. But actually, its from a ghazal of Sayyad Sadiq Hussain, which is also included in his book 'Barg-e-Sabz' published in 1918.
tū samajhtā hai havādis haiñ satāne ke liye
ye huā karte haiñ zāhir āzmāne ke liye
tundī-e-bād-e-muḳhālif se na ghabrā ai uqaab
ye to chaltī hai tujhe ūñchā uḌāne ke liye
kāmyābī kī huā kartī hai nākāmī dalīl
rañj aate haiñ tujhe rāhat dilāne ke liye
charḳh-e-kaj-raftār hai phir mā.il-e-jaur-o-sitam
bijliyāñ shāhid haiñ ḳhirman ko jalāne ke liye
nīm-jāñ hai kis liye hāl-e-ḳhilāfat dekh kar
DhūñD le koī davā is ko bachāne ke liye
chain se rahne na de in ko na ḳhud ārām kar
musta.id haiñ jo ḳhilāfat ko miTāne ke liye
dast-o-pā rakhte haiñ aur be-kār kyoñ baiThe raheñ
ham uTheñge apnī qismat ko banāne ke liye
tu samajhta hai hawadis hain satane ke liye
ye hua karte hain zahir aazmane ke liye
tundi-e-baad-e-muKHalif se na ghabra ai uqab
ye to chalti hai tujhe uncha uDane ke liye
kaamyabi ki hua karti hai nakaami dalil
ranj aate hain tujhe rahat dilane ke liye
charKH-e-kaj-raftar hai phir mail-e-jaur-o-sitam
bijliyan shahid hain KHirman ko jalane ke liye
nim-jaan hai kis liye haal-e-KHilafat dekh kar
DhunD le koi dawa is ko bachane ke liye
chain se rahne na de in ko na KHud aaram kar
mustaid hain jo KHilafat ko miTane ke liye
dast-o-pa rakhte hain aur be-kar kyon baiThe rahen
hum uThenge apni qismat ko banane ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.