ujalon ko andheron se bachana paD gaya hai
ujāloñ ko añdheroñ se bachānā paḌ gayā hai
ajab yak-tarfa mushkil meñ zamāna paḌ gayā hai
zamīñ kā dosh kaisā kam-nigāhī se hamārī
parindoñ ko yahāñ kam āb-o-dāna paḌ gayā hai
tahaffuz kī lakīreñ khīñch kar baiThe the ham log
par ab dīvār ik ūñchī uThānā paḌ gayā hai
kahā thā maiñ ne kho kar bhī tujhe zinda rahūñgā
vo aisā jhuuT thā jis ko nibhānā paḌ gayā hai
haqīqat ko tamāshā se judā karne kī ḳhātir
uThā kar bārhā parda girānā paḌ gayā hai
'shahāb' itnī havā.eñ ho ga.iiñ haiñ zahr-ālūd
ki ḳhud sāñsoñ se apnī muñh churānā paḌ gayā hai
ujalon ko andheron se bachana paD gaya hai
ajab yak-tarfa mushkil mein zamana paD gaya hai
zamin ka dosh kaisa kam-nigahi se hamari
parindon ko yahan kam aab-o-dana paD gaya hai
tahaffuz ki lakiren khinch kar baiThe the hum log
par ab diwar ek unchi uThana paD gaya hai
kaha tha main ne kho kar bhi tujhe zinda rahunga
wo aisa jhuT tha jis ko nibhana paD gaya hai
haqiqat ko tamasha se juda karne ki KHatir
uTha kar barha parda girana paD gaya hai
'shahab' itni hawaen ho gain hain zahr-alud
ki KHud sanson se apni munh churana paD gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.