ukhDi na ek shaKH bhi naKHl-e-jadid ki
ukhḌī na ek shāḳh bhī naḳhl-e-jadīd kī
har mohtasib ne beḳh-kunī to shadīd kī
ab to nigāh-e-shauq kā ye haq bhī chhin gayā
Tv hī ik jagah thī hasīnoñ kī diid kī
guzrī savāl-e-vasl ke chakkar meñ saarī umr
fursat na mil sakī use guft-o-shunīd kī
baḳhshā hai pīr-jī ne aqīdat kā ye sila
laḌkī bhagā ke le ga.e apne murīd kī
ukhDi na ek shaKH bhi naKHl-e-jadid ki
har mohtasib ne beKH-kuni to shadid ki
ab to nigah-e-shauq ka ye haq bhi chhin gaya
Tw hi ek jagah thi hasinon ki did ki
guzri sawal-e-wasl ke chakkar mein sari umr
fursat na mil saki use guft-o-shunid ki
baKHsha hai pir-ji ne aqidat ka ye sila
laDki bhaga ke le gae apne murid ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.