umiden miT gain ab ham-nafas kya
umīdeñ miT ga.iiñ ab ham-nafas kyā
nasheman kī ḳhushī ranj-e-qafas kyā
basar kāñToñ meñ ho jab zindagānī
bahār-e-ḳhanda-e-gul yak-nafas kyā
mirī dīvāngī kyuuñ baḌh rahī hai
bahār aa.ī chaman meñ ham-nafas kyā
na ho jab rang-e-āzādī chaman meñ
to phir andesha-e-qaid-e-qafas kyā
bahār-e-nau kī phir hai aamad aamad
chaman ujḌā koī phir ham-nafas kyā
umiden miT gain ab ham-nafas kya
nasheman ki KHushi ranj-e-qafas kya
basar kanTon mein ho jab zindagani
bahaar-e-KHanda-e-gul yak-nafas kya
meri diwangi kyun baDh rahi hai
bahaar aai chaman mein ham-nafas kya
na ho jab rang-e-azadi chaman mein
to phir andesha-e-qaid-e-qafas kya
bahaar-e-nau ki phir hai aamad aamad
chaman ujDa koi phir ham-nafas kya
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 985)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.