ummid se kam chashm-e-KHaridar mein aae
ummīd se kam chashm-e-ḳharīdār meñ aa.e
ham log zarā der se bāzār meñ aa.e
sach ḳhud se bhī ye log nahīñ bolne vaale
ai ahl-e-junūñ tum yahāñ bekār meñ aa.e
ye aag havas kī hai jhulas degī ise bhī
sūraj se kaho sāya-e-dīvār meñ aa.e
baḌhtī hī chalī jaatī hai tanhā.ī hamārī
kyā soch ke ham vādī-e-inkār meñ aa.e
ummid se kam chashm-e-KHaridar mein aae
hum log zara der se bazar mein aae
sach KHud se bhi ye log nahin bolne wale
ai ahl-e-junun tum yahan bekar mein aae
ye aag hawas ki hai jhulas degi ise bhi
suraj se kaho saya-e-diwar mein aae
baDhti hi chali jati hai tanhai hamari
kya soch ke hum wadi-e-inkar mein aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.