un ke sitam bhi kah nahin sakte kisi se hum
un ke sitam bhī kah nahīñ sakte kisī se ham
ghuT ghuT ke mar rahe haiñ ajab bebasī se ham
yādash-ba-ḳhair dil kā ḳhayāl aa ke rah gayā
is be-dilī meñ jiite haiñ kis be-hisī se ham
jo dil meñ thā vo miltā hai saath apne ḳhaak meñ
tum duur aur kah na sake kuchh kisī se ham
un ke sitam bhi kah nahin sakte kisi se hum
ghuT ghuT ke mar rahe hain ajab bebasi se hum
yaadash-ba-KHair dil ka KHayal aa ke rah gaya
is be-dili mein jite hain kis be-hisi se hum
jo dil mein tha wo milta hai sath apne KHak mein
tum dur aur kah na sake kuchh kisi se hum
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 779)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.