Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unki god mein sar rakh kar jab aansu aansu roya tha

Bimal Krishn Ashk

unki god mein sar rakh kar jab aansu aansu roya tha

Bimal Krishn Ashk

un god meñ sar rakh kar jab aañsū aañsū royā thā

kuchh lamhe guzre vo lamha merī āñkhoñ se guzrā thā

ai sāTan ke niile pardo tum par ye kis saaya hai

kyā mujh ko kuchh vahm huā hai sach-much koī aayā thā

jaise darvāza kar ke niklā hai koī kamre se

jaise ik do lamhe guzre sofe par koī baiThā thā

sach sach kahnā ai dīvāro ai tasvīro jhuuT na bolo

āḳhir hai us kamre meñ jis ne us naam liyā thā

tum to kuchh aise bhuul ga.e ho jaise kabhī vāqif nahīñ the

aur jo yūñhī karnā thā sāhab kis liye itnā pyaar kiyā thā

aaj to sarsoñ pīlā-pan agnī bhartā hai tan man meñ

ek samay thā jab yahī mausam khet khet pyārā lagtā thā

ek purāne giit dhun ne guzrī yādeñ yaad dilā diiñ

dāman ko ashkoñ se bhigo.e ek zamāna biit chalā thā

un ki god mein sar rakh kar jab aansu aansu roya tha

kuchh lamhe guzre wo lamha meri aankhon se guzra tha

ai saTan ke nile pardo tum par ye kis ka saya hai

kya mujh ko kuchh wahm hua hai ya sach-much koi aaya tha

jaise darwaza wa kar ke nikla hai koi kamre se

jaise ek do lamhe guzre sofe par koi baiTha tha

sach sach kahna ai diwaro ai taswiro jhuT na bolo

aaKHir hai tu us kamre mein jis ne us ka nam liya tha

tum to kuchh aise bhul gae ho jaise kabhi waqif hi nahin the

aur jo yunhi karna tha sahab kis liye itna pyar kiya tha

aaj to sarson ka pila-pan agni bharta hai tan man mein

ek samay tha jab yahi mausam khet khet pyara lagta tha

ek purane git ki dhun ne guzri yaaden yaad dila din

daman ko ashkon se bhigoe ek zamana bit chala tha

Source :
  • Book : Aazadi Ke Baad Urdu Gazal (Pg. 321)
  • Author : Shamshurrahman Farooqi
  • Publication : NCPUL (2009)
  • Edition : 2009
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now