aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske har rang se kyun shoala-zani hoti hai

Josh Malsiani

uske har rang se kyun shoala-zani hoti hai

Josh Malsiani

MORE BYJosh Malsiani

    us ke har rañg se kyuuñ sho.ala-zanī hotī hai

    un tasvīr to kāġhaz banī hotī hai

    aql o maz.hab jab aapas meñ Thanī hotī hai

    phir to har rāh-barī rāhzanī hotī hai

    yaad aatī hai jab un nigah-e-nāz mujhe

    ek barchhī mire siine pe tanī hotī hai

    kis tarah duur hoñ ālām-e-ġharīb-ul-vatanī

    zindagī ḳhud bhī ġharīb-ul-vatanī hotī hai

    phal use aa.e na aa.e ye muqaddar hai baat

    chhāñv to naḳhl-e-tamannā ghanī hotī hai

    shikve tauqīr-e-mohabbat bhī huā karte haiñ

    magar us vaqt jab aapas meñ banī hotī hai

    maiñ bhī piitā huuñ mujhe is se kuchh inkār nahīñ

    vo magar dāman-e-taqvā meñ chhanī hotī hai

    zabt-e-girya se kahīñ chaak na ho jaa.e jigar

    buuñd aañsū bhī hiire kanī hotī hai

    ik tumhārī nazākat hai jo hai tum pe girāñ

    varna har phuul meñ nāzuk-badanī hotī hai

    is qadar ġhair hai kyuuñ haal tumhārā ai 'josh'

    kabhī dil par to kabhī dam pe banī hotī hai

    us ke har rang se kyun shoala-zani hoti hai

    un ki taswir to kaghaz ki bani hoti hai

    aql o mazhab ki jab aapas mein Thani hoti hai

    phir to har rah-bari rahzani hoti hai

    yaad aati hai jab un ki nigah-e-naz mujhe

    ek barchhi mere sine pe tani hoti hai

    kis tarah dur hon aalam-e-gharib-ul-watani

    zindagi KHud bhi gharib-ul-watani hoti hai

    phal use aae na aae ye muqaddar ki hai baat

    chhanw to naKHl-e-tamanna ki ghani hoti hai

    shikwe tauqir-e-mohabbat bhi hua karte hain

    magar us waqt jab aapas mein bani hoti hai

    main bhi pita hun mujhe is se kuchh inkar nahin

    wo magar daman-e-taqwa mein chhani hoti hai

    zabt-e-girya se kahin chaak na ho jae jigar

    bund aansu ki bhi hire ki kani hoti hai

    ek tumhaari hi nazakat hai jo hai tum pe giran

    warna har phul mein nazuk-badani hoti hai

    is qadar ghair hai kyun haal tumhaara ai 'josh'

    kabhi dil par to kabhi dam pe bani hoti hai

    Source:

    Fridaus-e-Gosh (Pg. 74)

    • Author: Josh Malsiani
      • Edition: 1963
      • Publisher: Markaz Tasneef-o-Talif, Nikodar
      • Year of Publication: 1963
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now