uske honTon par sur mahka karte hain
us ke hoñToñ par sur mahkā karte haiñ
ham ab ḳhushbū se tar soyā karte haiñ
raushan rahte haiñ ġham sat.h pe ashkoñ kī
ye patthar paanī par tairā karte haiñ
din bhar maiñ in kī nigarānī kartā huuñ
shab bhar mere sapne jaagā karte haiñ
āñkheñ dhote haiñ sone ke paanī se
jāgte hī jo tum ko dekhā karte haiñ
vo jo jhoñke jaisā aatā jaatā hai
ham jo havā ko chhū kar bikhrā karte haiñ
pañdrah din kā ho kar marne lagtā hai
kyuuñ ham chāñd ko paalā posā karte haiñ
ham ko aañsū hī milte haiñ siip meñ bhī
vo ashkoñ meñ motī royā karte haiñ
bosa lene meñ kyuuñ kaT jaate haiñ hoñT
ham māñjhe dāñtoñ se kaaTā karte haiñ
aksar sāñseñ rok ke suntā rahtā huuñ
us ke lams badan par dhaḌkā karte haiñ
niiñd khule to us ko pahlū meñ paa.eñ
ham bhī kaise sapne dekhā karte haiñ
saarā ġhussa ab bas is kaam aatā hai
ham is se cigarette sulgāyā karte haiñ
us ke honTon par sur mahka karte hain
hum ab KHushbu se tar soya karte hain
raushan rahte hain gham sath pe ashkon ki
ye patthar pani par taira karte hain
din bhar main in ki nigarani karta hun
shab bhar mere sapne jaga karte hain
aankhen dhote hain sone ke pani se
jagte hi jo tum ko dekha karte hain
wo jo jhonke jaisa aata jata hai
hum jo hawa ko chhu kar bikhra karte hain
pandrah din ka ho kar marne lagta hai
kyun hum chand ko pala posa karte hain
hum ko aansu hi milte hain sip mein bhi
wo ashkon mein moti roya karte hain
bosa lene mein kyun kaT jate hain honT
hum manjhe danton se kaTa karte hain
aksar sansen rok ke sunta rahta hun
us ke lams badan par dhaDka karte hain
nind khule to us ko pahlu mein paen
hum bhi kaise sapne dekha karte hain
sara ghussa ab bas is kaam aata hai
hum is se cigarette sulgaya karte hain
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 14)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.