Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us ku main hue hum wo lab-e-baam na aaya

Taskeen Dehlavi

us ku main hue hum wo lab-e-baam na aaya

Taskeen Dehlavi

MORE BYTaskeen Dehlavi

    us maiñ hue ham vo lab-e-bām na aayā

    ai jazba-e-dil bhī kisī kaam na aayā

    thā merī tarah ġhair ko bhī dāva-e-ulfat

    nāseh use dene ko ilzām na aayā

    be-bāl-o-parī khotī hai tauqīr-e-asīrī

    sayyād yahāñ le ke kabhī daam na aayā

    is naaz ke sadqe huuñ tire maiñ ki udū se

    sau baar sunā hai pe mirā naam na aayā

    kyā jāniye kis tarah diyā ne javāb aah

    qāsid zabāñ par tirā paiġhām na aayā

    taskīn' karūñ kyā dil-e-muztar ilaaj ab

    kam-baḳht ko mar kar bhī to ārām na aayā

    us ku main hue hum wo lab-e-baam na aaya

    ai jazba-e-dil tu bhi kisi kaam na aaya

    tha meri tarah ghair ko bhi dawa-e-ulfat

    naseh tu use dene ko ilzam na aaya

    be-baal-o-pari khoti hai tauqir-e-asiri

    sayyaad yahan le ke kabhi dam na aaya

    is naz ke sadqe hun tere main ki udu se

    sau bar suna hai pe mera nam na aaya

    kya jaaniye kis tarah diya tu ne jawab aah

    qasid ki zaban par tera paigham na aaya

    taskin' karun kya dil-e-muztar ka ilaj ab

    kam-baKHt ko mar kar bhi to aaram na aaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now