Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

usne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein

Faisal Ajmi

usne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein

Faisal Ajmi

us ne dekhā jo mujhe ālam-e-hairānī meñ

gir paḌā haath se ā.īna pareshānī meñ

aa ga.e ho to barābar meñ ḳhema kar lo

maiñ to rahtā huuñ isī be-sar-o-sāmānī meñ

is qadar ġhaur se mat dekh bhañvar jānib

bhī chakrā ke na gir jaa.e kahīñ paanī meñ

kabhī dekhā nahīñ is ne pareshāñ mujh ko

maiñ ki rahtā huuñ sadā apnī nigahbānī meñ

vo mirā dost thā dushman to nahīñ thā 'faisal'

maiñ ne har baat batā use nādānī meñ

us ne dekha jo mujhe aalam-e-hairani mein

gir paDa hath se aaina pareshani mein

aa gae ho to barabar hi mein KHema kar lo

main to rahta hun isi be-sar-o-samani mein

is qadar ghaur se mat dekh bhanwar ki jaanib

tu bhi chakra ke na gir jae kahin pani mein

kabhi dekha hi nahin is ne pareshan mujh ko

main ki rahta hun sada apni nigahbani mein

wo mera dost tha dushman to nahin tha 'faisal'

main ne har baat bata di use nadani mein

Source :
  • Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 173)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now