usne har mashq-e-sitam hum pe rawa rakkhi hai
us ne har mashq-e-sitam ham pe ravā rakkhī hai
ham ne āvāz bhī siine meñ dabā rakkhī hai
qatl-gāhoñ meñ lahū apnā nichhāvar kar ke
sham-e-insāf kī lau ham ne baḌhā rakkhī hai
kahīñ bikhrī haiñ kitābeñ kahīñ maile kapḌe
ghar kī hālat hī ajab ham ne banā rakkhī hai
apne vahshat-zada kamre kī ik almārī meñ
terī tasvīr aqīdat se sajā rakkhī hai
ham kisī baat kā shikva na kareñge 'kausar'
mohar hoñToñ pe ḳhamoshī kī lagā rakkhī hai
us ne har mashq-e-sitam hum pe rawa rakkhi hai
hum ne aawaz bhi sine mein daba rakkhi hai
qatl-gahon mein lahu apna nichhawar kar ke
sham-e-insaf ki lau hum ne baDha rakkhi hai
kahin bikhri hain kitaben kahin maile kapDe
ghar ki haalat hi ajab hum ne bana rakkhi hai
apne wahshat-zada kamre ki ek almari mein
teri taswir aqidat se saja rakkhi hai
hum kisi baat ka shikwa na karenge 'kausar'
mohar honTon pe KHamoshi ki laga rakkhi hai
- Book : mata-e-sukhan (Pg. 301)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.