usne mazaq samjha mera dil dukha gaya
us ne mazāq samjhā mirā dil dukhā gayā
phir mom-battiyoñ ko hamesha bujhā gayā
niklā thā ḳhud ko DhūñDne us regzār meñ
māyūs ho ke rāsta vāpas chalā gayā
ik ik galī meñ DhūñD rahī thī havā mujhe
lahroñ ke saath saath mirā naqsh-e-pā gayā
bistar pe leTe leTe mirī aañkh lag ga.ī
ye kaun mere kamre kī battī bujhā gayā
satā rahā thā lawn meñ sab kaam chhoḌ kar
jhoñkā havā kā aayā aur hañs kar chalā gayā
us ne mazaq samjha mera dil dukha gaya
phir mom-battiyon ko hamesha bujha gaya
nikla tha KHud ko DhunDne us regzar mein
mayus ho ke rasta wapas chala gaya
ek ek gali mein DhunD rahi thi hawa mujhe
lahron ke sath sath mera naqsh-e-pa gaya
bistar pe leTe leTe meri aankh lag gai
ye kaun mere kamre ki batti bujha gaya
sata raha tha lawn mein sab kaam chhoD kar
jhonka hawa ka aaya aur hans kar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.