use kyun humne diya dil jo hai be-mehri mein kaamil jise aadat hai jafa ki
use kyun humne diya dil jo hai be-mehri mein kaamil jise aadat hai jafa ki
Muztar Khairabadi
MORE BYMuztar Khairabadi
Interesting Fact
Muztar Khairabadi's famous ghazal in Bahr-e-Raml Makhboon, a long meter which is amongst the longest of all poetic meters in the world. Each line of this meter consists of a hundred feet. The first line:
use kyuuñ ham ne diyā dil jo hai be-mehrī meñ kāmil jise aadat hai jafā kī
jise chiḌh mehr-o-vafā kī jise aatā nahīñ aanā ġham-o-hasrat kā miTānā jo sitam meñ hai yagāna
jise kahtā hai zamāna but-e-be-mahr-o-daġhā-baz jafā-pesha fusūñ-sāz sitam-ḳhāna-bar-andāz
ġhazab jis kā har ik naaz nazar fitna mizha tiir balā zulf-e-girah-gīr ġham-o-rañj kā baanī qalaq-o-dard
kā mūjib sitam-o-jaur kā ustād jafā-kārī meñ māhir jo sitam-kesh-o-sitam-gar jo sitam-pesha hai
dilbar jise aatī nahīñ ulfat jo samajhtā nahīñ chāhat jo tasallī ko na samjhe jo tashaffī ko na
jaane jo kare qaul na puurā kare har kaam adhūrā yahī din-rāt tasavvur hai ki nāhaq
use chāhā jo na aa.e na bulā.e na kabhī paas biThā.e na ruḳh-e-sāf dikhā.e na koī
baat sunā.e na lagī dil kī bujhā.e na kalī dil kī khilā.e na ġham-o-rañj ghaTā.e na rah-o-rasm
baḌhā.e jo kaho kuchh to ḳhafā ho kahe shikve kī zarūrat jo yahī hai to na chāho jo na
chāhoge to kyā hai na nibāhoge to kyā hai bahut itrāo na dil de ke ye kis kaam kā dil
hai ġham-o-andoh kā maarā abhī chāhūñ to maiñ rakh duuñ ise talvoñ se masal kar abhī muñh
dekhte rah jaao ki haiñ un ko huā kyā ki inhoñ ne mirā dil le ke mire haath se khoyā
use kyun hum ne diya dil jo hai be-mehri mein kaamil jise aadat hai jafa ki
jise chiDh mehr-o-wafa ki jise aata nahin aana gham-o-hasrat ka miTana jo sitam mein hai yagana
jise kahta hai zamana but-e-be-mahr-o-dagha-baz jafa-pesha fusun-saz sitam-KHana-bar-andaz
ghazab jis ka har ek naz nazar fitna mizha tir bala zulf-e-girah-gir gham-o-ranj ka bani qalaq-o-dard
ka mujib sitam-o-jaur ka ustad jafa-kari mein mahir jo sitam-kesh-o-sitam-gar jo sitam-pesha hai
dilbar jise aati nahin ulfat jo samajhta nahin chahat jo tasalli ko na samjhe jo tashaffi ko na
jaane jo kare qaul na pura kare har kaam adhura yahi din-raat tasawwur hai ki nahaq
use chaha jo na aae na bulae na kabhi pas biThae na ruKH-e-saf dikhae na koi
baat sunae na lagi dil ki bujhae na kali dil ki khilae na gham-o-ranj ghaTae na rah-o-rasm
baDhae jo kaho kuchh to KHafa ho kahe shikwe ki zarurat jo yahi hai to na chaho jo na
chahoge to kya hai na nibahoge to kya hai bahut itrao na dil de ke ye kis kaam ka dil
hai gham-o-andoh ka mara abhi chahun to main rakh dun ise talwon se masal kar abhi munh
dekhte rah jao ki hain un ko hua kya ki inhon ne mera dil le ke mere hath se khoya
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 342)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.