usi ki tarah mujhe sara zamana chahe
usī kī tarah mujhe saarā zamānā chāhe
vo mirā hone se ziyāda mujhe paanā chāhe
merī palkoñ se phisal jaatā hai chehra terā
ye musāfir to koī aur Thikānā chāhe
ek banphūl thā is shahr meñ vo bhī na rahā
koī ab kis ke liye lauT ke aanā chāhe
zindagī hasratoñ ke saaz pe sahmā-sahmā
vo tarāna hai jise dil nahīñ gaanā chāhe
usi ki tarah mujhe sara zamana chahe
wo mera hone se ziyaada mujhe pana chahe
meri palkon se phisal jata hai chehra tera
ye musafir to koi aur Thikana chahe
ek banphul tha is shahr mein wo bhi na raha
koi ab kis ke liye lauT ke aana chahe
zindagi hasraton ke saz pe sahma-sahma
wo tarana hai jise dil nahin gana chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.