uTh chale wo to is mein hairat kya
uTh chale vo to is meñ hairat kyā
un ke aage vafā kī qīmat kyā
us ke kūche se ho ke aayā huuñ
is se achchhī hai koī jannat kyā
shahr se vo nikalne vaale haiñ
sar pe TūTegī phir qayāmat kyā
tere bandoñ kī bandagī kī hai
ye ibādat nahīñ ibādat kyā
koī pūchhe ki ishq kyā shai hai
kyā batā.eñ ki hai mohabbat kyā
āñsuoñ se likhā hai ḳhat un ko
paḌh vo pā.eñge ye ibārat kyā
maiñ kahīñ aur dil lagā lūñgā
mat karo ishq is meñ hujjat kyā
garm bāzār hoñ jo nafrat ke
is zamāne meñ dil kī qīmat kyā
kitne chehre lage haiñ chehroñ par
kyā haqīqat hai aur siyāsat kyā
uTh chale wo to is mein hairat kya
un ke aage wafa ki qimat kya
us ke kuche se ho ke aaya hun
is se achchhi hai koi jannat kya
shahr se wo nikalne wale hain
sar pe TuTegi phir qayamat kya
tere bandon ki bandagi ki hai
ye ibaadat nahin ibaadat kya
koi puchhe ki ishq kya shai hai
kya bataen ki hai mohabbat kya
aansuon se likha hai KHat un ko
paDh wo paenge ye ibarat kya
main kahin aur dil laga lunga
mat karo ishq is mein hujjat kya
garm bazar hon jo nafrat ke
is zamane mein dil ki qimat kya
kitne chehre lage hain chehron par
kya haqiqat hai aur siyasat kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.