Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uTh jae gar ye bich se parda hijab ka

Qayem Chaandpuri

uTh jae gar ye bich se parda hijab ka

Qayem Chaandpuri

MORE BYQayem Chaandpuri

    uTh jaa.e gar ye biich se parda hijāb

    dariyā phir to naam hai har ik hubāb

    kyuuñ chhoḌte ho durd-e-tah-e-jām mai-kasho

    zarra hai ye bhī āḳhir usī āftāb

    aisī havā meñ paas na saaqī na jām-e-mai

    ronā bajā hai haal pe mere sahāb

    honā thā zindagī meñ muñh shaiḳh siyāh

    is umr meñ hai varna mazā kyā ḳhizāb

    is dasht-e-pur-sarāb meñ bahke bahut pa haif

    dekhā to do qadam pe Thikānā thā aab

    zāhid marīz-e-ishq pe ho sharb-e-mai harām

    baare ye mas.ala hai tirī kis kitāb

    juuñ surma kyuuñ na chashm meñ 'qā.em' ho jagah

    āḳhir vo ḳhāk-e-pā hai shah-e-bū-turāb

    uTh jae gar ye bich se parda hijab ka

    dariya hi phir to nam hai har ek hubab ka

    kyun chhoDte ho durd-e-tah-e-jam mai-kasho

    zarra hai ye bhi aaKHir usi aaftab ka

    aisi hawa mein pas na saqi na jam-e-mai

    rona baja hai haal pe mere sahab ka

    hona tha zindagi hi mein munh shaiKH ka siyah

    is umr mein hai warna maza kya KHizab ka

    is dasht-e-pur-sarab mein bahke bahut pa haif

    dekha to do qadam pe Thikana tha aab ka

    zahid mariz-e-ishq pe ho sharb-e-mai haram

    bare ye masala hai teri kis kitab ka

    jun surma kyun na chashm mein 'qaem' ki ho jagah

    aaKHir wo KHak-e-pa hai shah-e-bu-turab ka

    Source :
    • Deewan-e-Qaem Chandpuri (Rekhta Website)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now