uTh kar tere dar se kahin jaane ke nahin hum
uTh kar tire dar se kahīñ jaane ke nahīñ ham
mohtāj kisī aur Thikāne ke nahīñ ham
Thahrā hai ayādat pe safar mulk-e-adam kā
aane ke nahīñ aap to jaane ke nahīñ ham
jo tum ne lagā.ī hai vo hai qadr ke qābil
is aag ko ashkoñ se bujhāne ke nahīñ ham
lo aao suno ham se ġham-e-hijr kī hālat
guzrī hai jo ham par vo chhupāne ke nahīñ ham
ahvāl-e-shab-e-ġham pe 'rashīd' aaj vo bole
qaa.il tire is jhūTe fasāne ke nahīñ ham
uTh kar tere dar se kahin jaane ke nahin hum
mohtaj kisi aur Thikane ke nahin hum
Thahra hai ayaadat pe safar mulk-e-adam ka
aane ke nahin aap to jaane ke nahin hum
jo tum ne lagai hai wo hai qadr ke qabil
is aag ko ashkon se bujhane ke nahin hum
lo aao suno hum se gham-e-hijr ki haalat
guzri hai jo hum par wo chhupane ke nahin hum
ahwal-e-shab-e-gham pe 'rashid' aaj wo bole
qail tere is jhuTe fasane ke nahin hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.