Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uTh subh hui murgh-e-chaman naghma-e-sara dekh

Shefta Mustafa Khan

uTh subh hui murgh-e-chaman naghma-e-sara dekh

Shefta Mustafa Khan

uTh sub.h huī murġh-e-chaman naġhma-e-sarā dekh

nūr-e-sahar-o-husn-e-gul-o-lutf-e-havā dekh

do-chār farishtoñ pe balā aa.egī nā-haq

ai ġhairat-e-nāhīd na ho naġhma-sarā dekh

minnat se manāte haiñ mujhe maiñ nahīñ mantā

auza-e-malak dekh aur atvār-e-gadā dekh

gar bul-havasī yuuñ tujhe bāvar nahīñ aatī

ik martaba aġhyār ke qaabū meñ aa dekh

itnī na baḌhā pākī-e-dāmāñ hikāyat

dāman ko zarā dekh zarā band-e-qabā dekh

ik dam ke na milne pe nahīñ milte haiñ mujh se

ai 'shefta' māyūsī-e-ummīd-e-fazā dekh

uTh subh hui murgh-e-chaman naghma-e-sara dekh

nur-e-sahar-o-husn-e-gul-o-lutf-e-hawa dekh

do-chaar farishton pe bala aaegi na-haq

ai ghairat-e-nahid na ho naghma-sara dekh

minnat se manate hain mujhe main nahin manta

auza-e-malak dekh aur atwar-e-gada dekh

gar bul-hawasi yun tujhe bawar nahin aati

ek martaba aghyar ke qabu mein tu aa dekh

itni na baDha paki-e-daman ki hikayat

daman ko zara dekh zara band-e-qaba dekh

ek dam ke na milne pe nahin milte hain mujh se

ai 'shefta' mayusi-e-ummid-e-faza dekh

Source :
  • Book : Ghazal Usne Chhedi(3) (Pg. 115)
  • Author : Farhat Ehsas
  • Publication : Rekhta Books (2017)
  • Edition : 2017
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now