uThi nigah to apne hi ru-ba-ru hum the
uThī nigāh to apne hī rū-ba-rū ham the
zamīn ā.ina-ḳhāna thī chār-sū ham the
dinoñ ke baa'd achānak tumhārā dhyān aayā
ḳhudā kā shukr ki us vaqt bā-vazū ham the
vo aa.ina to nahīñ thā par ā.īne sā thā
vo ham nahīñ the magar yaar hū-ba-hū ham the
zamīñ pe laḌte hue āsmāñ ke narġhe meñ
kabhī kabhī koī dushman kabhū kabhū ham the
hamārā zikr bhī ab jurm ho gayā hai vahāñ
dinoñ kī baat hai mahfil kī aabrū ham the
ḳhayāl thā ki ye pathrāv rok deñ chal kar
jo hosh aayā to dekhā lahū lahū ham the
uThi nigah to apne hi ru-ba-ru hum the
zamin aaina-KHana thi chaar-su hum the
dinon ke ba'd achanak tumhaara dhyan aaya
KHuda ka shukr ki us waqt ba-wazu hum the
wo aaina to nahin tha par aaine sa tha
wo hum nahin the magar yar hu-ba-hu hum the
zamin pe laDte hue aasman ke narghe mein
kabhi kabhi koi dushman kabhu kabhu hum the
hamara zikr bhi ab jurm ho gaya hai wahan
dinon ki baat hai mahfil ki aabru hum the
KHayal tha ki ye pathraw rok den chal kar
jo hosh aaya to dekha lahu lahu hum the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.