Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waiz ki kaDwi baaton ko kab dhyan mein apne late hain

Anjum Manpuri

waiz ki kaDwi baaton ko kab dhyan mein apne late hain

Anjum Manpuri

MORE BYAnjum Manpuri

    vaa.iz kaḌvī bātoñ ko kab dhyān meñ apne laate haiñ

    ye rind-e-balā-nosh aise haiñ sunte haiñ aur jaate haiñ

    ham aap se jo kuchh kahte haiñ vo bilkul jhuuT ġhalat ik dam

    aur aap jo kuchh farmāte haiñ be-shubah bajā farmāte haiñ

    dīvāna samajh kar chheḌ ke vo sunte haiñ hamārī bātoñ ko

    ham matlab kah jaate haiñ vo soch ke kuchh rah jaate haiñ

    majbūr-e-mohabbat hālat begāna-e-ulfat kyā jaane

    ham ġhairoñ ke ta.ane sunte haiñ aur sun kar chup rah jaate haiñ

    gardan hai jhukī nazreñ nīchī aur lab pe hai un ke tabassum bhī

    hai qābil-e-dīd vo shoḳhī bhī jis vaqt ki vo sharmāte haiñ

    behosh paḌe haiñ ishq meñ aur sar hai kisī ke zaanū par

    tadbīreñ laakh kare koī ab hosh meñ ham kab aate haiñ

    kaam 'anjum' jo tamām kiyā ye aap ne vāqa.ī ḳhuub kiyā

    kam-baḳht isī ke laa.eq thā ab aap abas pachhtāte haiñ

    waiz ki kaDwi baaton ko kab dhyan mein apne late hain

    ye rind-e-bala-nosh aise hain sunte hain aur pi jate hain

    hum aap se jo kuchh kahte hain wo bilkul jhuT ghalat ek dam

    aur aap jo kuchh farmate hain be-shubah baja farmate hain

    diwana samajh kar chheD ke wo sunte hain hamari baaton ko

    hum matlab ki kah jate hain wo soch ke kuchh rah jate hain

    majbur-e-mohabbat ki haalat begana-e-ulfat kya jaane

    hum ghairon ke tane sunte hain aur sun kar chup rah jate hain

    gardan hai jhuki nazren nichi aur lab pe hai un ke tabassum bhi

    hai qabil-e-did wo shoKHi bhi jis waqt ki wo sharmate hain

    behosh paDe hain ishq mein aur sar hai kisi ke zanu par

    tadbiren lakh kare koi ab hosh mein hum kab aate hain

    kaam 'anjum' ka jo tamam kiya ye aap ne waqai KHub kiya

    kam-baKHt isi ke laeq tha ab aap abas pachhtate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now