war har ek mere zaKHm ka hamil aaya
vaar har ek mire zaḳhm kā hāmil aayā
apnī talvār ke maiñ ḳhud hī muqābil aayā
bādbānoñ ne har ik samt badal kar dekhī
koī manzar na nazar sūrat sāhil aayā
gard hone ne hī mahmez kiyā merā safar
merā rasta mirī dīvār meñ haa.il aayā
is fusūñ kī koī tauzīh nahīñ ho paatī
is ke hāthoñ maiñ bhalā kaise mirā dil aayā
dard se joḌ liyā saaz ne rishta apnā
aur phir soz pahan kar tirī paa.el aayā
ek taḳhrīb tavātur se rahī dil meñ mire
ik tasalsul sā mire haal meñ shāmil aayā
jis kā anjām huā us kī shurūāt na thī
raah par aa na sakā jo sar-e-manzil aayā
zinda rahne ke taqāzoñ ne mujhe maar diyā
sar pe 'jāved' ajab ahd-e-masā.il aayā
war har ek mere zaKHm ka hamil aaya
apni talwar ke main KHud hi muqabil aaya
baadbanon ne har ek samt badal kar dekhi
koi manzar na nazar surat sahil aaya
gard hone ne hi mahmez kiya mera safar
mera rasta meri diwar mein hail aaya
is fusun ki koi tauzih nahin ho pati
is ke hathon main bhala kaise mera dil aaya
dard se joD liya saz ne rishta apna
aur phir soz pahan kar teri pael aaya
ek taKHrib tawatur se rahi dil mein mere
ek tasalsul sa mere haal mein shamil aaya
jis ka anjam hua us ki shuruat na thi
rah par aa na saka jo sar-e-manzil aaya
zinda rahne ke taqazon ne mujhe mar diya
sar pe 'jawed' ajab ahd-e-masail aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.