wafa ki rah mein dil ka sipas rakh dunga
vafā kī raah meñ dil kā sipās rakh dūñgā
maiñ har nadī ke kināre pe pyaas rakh dūñgā
karegī tishna-labī faisle sadāqat ke
jhulaste ḳheme tarā.ī ke paas rakh dūñgā
gulāb surḳh tabassum se deñge merā pata
shafaq meñ apnā maiñ ḳhūnī libās rakh dūñgā
jahāñ diloñ ko añdheroñ kā sāmnā hogā
vahāñ maiñ apne charāġh-e-havās rakh dūñgā
zabān vāloñ kā chehra kabhī na utregā
ġhamoñ ke hoñToñ pe aisī miThās rakh dūñgā
mire lahū kī adālat sajegī āñkhoñ meñ
gavāhiyoñ ko maiñ ashkoñ ke paas rakh dūñgā
wafa ki rah mein dil ka sipas rakh dunga
main har nadi ke kinare pe pyas rakh dunga
karegi tishna-labi faisle sadaqat ke
jhulaste KHeme tarai ke pas rakh dunga
gulab surKH tabassum se denge mera pata
shafaq mein apna main KHuni libas rakh dunga
jahan dilon ko andheron ka samna hoga
wahan main apne charagh-e-hawas rakh dunga
zaban walon ka chehra kabhi na utrega
ghamon ke honTon pe aisi miThas rakh dunga
mere lahu ki adalat sajegi aankhon mein
gawahiyon ko main ashkon ke pas rakh dunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.