wafadaron pe aafat aa rahi hai
vafādāroñ pe aafat aa rahī hai
miyāñ le lo jo qīmat aa rahī hai
maiñ us se itne va.ade kar chukā huuñ
mujhe is baar ġhairat aa rahī hai
na jaane mujh meñ kyā dekhā hai us ne
mujhe us par mohabbat aa rahī hai
badaltā jā rahā hai jhuuT sach meñ
kahānī meñ sadāqat aa rahī hai
mirā jhagḌā zamāne se nahīñ hai
mire aaḌe mohabbat aa rahī hai
abhī raushan huā jaatā hai rasta
vo dekho ek aurat aa rahī hai
mujhe us kī udāsī ne batāyā
bichhaḌ jaane kī saa.at aa rahī hai
baḌoñ ke darmiyāñ baiThā huā huuñ
nasīhat par nasīhat aa rahī hai
wafadaron pe aafat aa rahi hai
miyan le lo jo qimat aa rahi hai
main us se itne wade kar chuka hun
mujhe is bar ghairat aa rahi hai
na jaane mujh mein kya dekha hai us ne
mujhe us par mohabbat aa rahi hai
badalta ja raha hai jhuT sach mein
kahani mein sadaqat aa rahi hai
mera jhagDa zamane se nahin hai
mere aaDe mohabbat aa rahi hai
abhi raushan hua jata hai rasta
wo dekho ek aurat aa rahi hai
mujhe us ki udasi ne bataya
bichhaD jaane ki saat aa rahi hai
baDon ke darmiyan baiTha hua hun
nasihat par nasihat aa rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.