wahi mohtaram rahe shahr mein jo tafawuton mein lage rahe
vahī mohtaram rahe shahr meñ jo tafāvutoñ meñ lage rahe
jinheñ pās-e-izzat-e-harf thā vo riyāzatoñ meñ lage rahe
unheñ tum darāzi-e-umar kī nahīñ, hausle kī duā.eñ do
vo jo ek nisbat-e-be-amāñ kī hifāzatoñ meñ lage rahe
mire haath meñ tire naam kī vo lakīr miTtī chalī ga.ī
mire chāra-gar mire dard kī hī vazāhatoñ meñ lage rahe
unheñ be-yaqīnī-e-sub.h kī maiñ dalīl duuñ bhī to kis tarah
vo jo ibtidā meñ hī intihā kī zamānatoñ meñ lage rahe
tirī hairateñ tirī aañkh meñ hī tamām umr paḌī rahīñ
tirī shā.erī ke sabhī hunar to shikāyatoñ meñ lage rahe
wahi mohtaram rahe shahr mein jo tafawuton mein lage rahe
jinhen pas-e-izzat-e-harf tha wo riyazaton mein lage rahe
unhen tum daraazi-e-umar ki nahin, hausle ki duaen do
wo jo ek nisbat-e-be-aman ki hifazaton mein lage rahe
mere hath mein tere nam ki wo lakir miTti chali gai
mere chaara-gar mere dard ki hi wazahaton mein lage rahe
unhen be-yaqini-e-subh ki main dalil dun bhi to kis tarah
wo jo ibtida mein hi intiha ki zamanaton mein lage rahe
teri hairaten teri aankh mein hi tamam umr paDi rahin
teri shaeri ke sabhi hunar to shikayaton mein lage rahe
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 11.12.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.