wahi phir mujhe yaad aane lage hain
vahī phir mujhe yaad aane lage haiñ
jinheñ bhūlne meñ zamāne lage haiñ
vo haiñ paas aur yaad aane lage haiñ
mohabbat ke hosh ab Thikāne lage haiñ
sunā hai hameñ vo bhulāne lage haiñ
to kyā ham unheñ yaad aane lage haiñ
haTā.e the jo raah se dostoñ kī
vo patthar mire ghar meñ aane lage haiñ
ye kahnā thā un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne meñ mujh ko zamāne lage haiñ
havā.eñ chalīñ aur na maujeñ hī uTThīñ
ab aise bhī tūfān aane lage haiñ
qayāmat yaqīnan qarīb aa ga.ī hai
'ḳhumār' ab to masjid meñ jaane lage haiñ
wahi phir mujhe yaad aane lage hain
jinhen bhulne mein zamane lage hain
wo hain pas aur yaad aane lage hain
mohabbat ke hosh ab Thikane lage hain
suna hai hamein wo bhulane lage hain
to kya hum unhen yaad aane lage hain
haTae the jo rah se doston ki
wo patthar mere ghar mein aane lage hain
ye kahna tha un se mohabbat hai mujh ko
ye kahne mein mujh ko zamane lage hain
hawaen chalin aur na maujen hi uTThin
ab aise bhi tufan aane lage hain
qayamat yaqinan qarib aa gai hai
'KHumar' ab to masjid mein jaane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.