waqt be-rahm hai maqtal ki zaminon jaisa
vaqt be-rahm hai maqtal kī zamīnoñ jaisā
aur hamdard hai muḳhlis kī duāoñ jaisā
koī manzar nahīñ barsāt ke mausam meñ bhī
us kī zulfoñ se phisaltī huī dhūpoñ jaisā
ābloñ kī tarah rahne na diyā ashkoñ ko
merī palkoñ ne kiyā kaam babūloñ jaisā
sañg-dil hai na farebī na jafākār hai vo
merā mahbūb hai ma.asūm farishtoñ jaisā
maiñ to insān huuñ tum jaisā huuñ Thahro logo
mujh pe ilzām lagāo na rasūloñ jaisā
zehn se mahv hue guzrā zamāna 'aḳhtar'
ek chehra hai magar ab bhī gulāboñ jaisā
waqt be-rahm hai maqtal ki zaminon jaisa
aur hamdard hai muKHlis ki duaon jaisa
koi manzar nahin barsat ke mausam mein bhi
us ki zulfon se phisalti hui dhupon jaisa
aablon ki tarah rahne na diya ashkon ko
meri palkon ne kiya kaam babulon jaisa
sang-dil hai na farebi na jafakar hai wo
mera mahbub hai masum farishton jaisa
main to insan hun tum jaisa hun Thahro logo
mujh pe ilzam lagao na rasulon jaisa
zehn se mahw hue guzra zamana 'aKHtar'
ek chehra hai magar ab bhi gulabon jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.