waqt jab rah ki diwar hua
vaqt jab raah kī dīvār huā
koī sailāb numūdār huā
us ne peḌoñ se haTā liiñ shāḳheñ
baaġh meñ se tū ka.ī baar huā
maiñ ne jo dil meñ chhupānā chāhā
mere chehre se numūdār huā
sāhilī-shām kā phailā manzar
kuchh lakīroñ meñ giraftār huā
raat ik shaḳhs bahut yaad aayā
jis ghaḌī chāñd numūdār huā
waqt jab rah ki diwar hua
koi sailab numudar hua
us ne peDon se haTa lin shaKHen
bagh mein se tu kai bar hua
main ne jo dil mein chhupana chaha
mere chehre se numudar hua
sahili-sham ka phaila manzar
kuchh lakiron mein giraftar hua
raat ek shaKHs bahut yaad aaya
jis ghaDi chand numudar hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.